Main teri ho naa saki to kya, Aaj bhi teri shaayari ban jaati hoon..
Un shabdon ke uljhe hue dhaagon se, ab joojh na paati hoon..
In alfazon mein teri naraazgi bhi hai..
kabhi dekha to dua hai, aur kabhi meri barbaadi bhi hai..
Ae musaafir ab aur tu safar na kar..
yahi hai teri manzil, kisi aur ki dua na kar...
teri zindagi ka hissa bhi hoon aur ek gehra raaz bhi
dil ka ehsaas kabhi, gham-e-shaayari ka taaj bhi..
kadwahat ke aalam mein yeh mohabbat shehad ban jaati hai..
inn lehron ka shor bhi hai, fir bhi sannate ko mehsoos karwati hai..
yaad aata hai woh milon chalna chandni ki chaadar tale..
kisi ko khabar na thi, warna aaj humari misaal ban jati veh..