Friday, December 19, 2014

Humko mohabbat nahi tumse...

Humko mohabbat nahi tumse...
mohabbat ko ho gayi mohabbat hai aaj..
jab dekha humne tumhari nazaron mein..
aa gayi ho jaise kayamat kash..

na dhoodhte hain ab koi manzil..
na jaate hain apna raasta..
na rahe saawal aur na koi jawaab..
bas reh gaya is mohabbat ka wasta..

mohabbat muqaddar hai koi khwaab nahi..
jismein sabhi sawaalon ka jawaab nahi..
thaam kar haath chalna tum mere..
tab dikhega andhera.. kaali adhuri raat nahi.. 

Sunday, July 13, 2014

Adhoore reh gaye hum...

Adhoore reh gaye woh khat...
Adhoore hain ab shab-e-gham..
Adhoori hain ab woh baatein.. 
Adhoore reh gaye hai hum.. 

Ghanton baithe the teri rah dekhte.. 
Tere saya tak na dikhta abhi.. 
bin bataye chale gaye aaj woh.. 
Chand sawalon ke jawab baaki the abhi..

Jab khaamoshi ne apna dera dala..
Tanhaiyon mein simati hoon ab main.. 
Teri chaahat ki talaash karti..
Bhatakti dar-dar  har ghadi..

Kaash woh hota aaj yahan...
Sahem jaati hoon is akelepan mein.. 
Nakhoonon ko kutarte hue.. 
Iss darr mein... ki woh ab naa lautega.. 

Adhoore hain ab shab-e-gham..
Adhoore to tum bhi.. jitne adhoore hain hum...

Tuesday, April 22, 2014

Woh tu naa tha..

Socha tha tu wapis aa gaya hoga...
itne saalon se kara tha tera intezaar..
ek din thaam lega mera haath tu..
aankhon mein aankhein daale..
labon ko choomte hue..
fir se karega aitebaar..
ishq ka rang feeka nahi hua mere yaar..
aaj bhi utna hi meetha hai yeh..
bas teri hi kami thi.. aaj woh bhi puri ho gayi..
tera naam likhte likhte thak gayi thi main bhi..
kagaz ke panne katam ho gaye..
par main na ruki..
aaj shyam jab tu aaya mujhse milne..
laga ki jaise duniya badal gayi...
par galat thi main..
tu woh nahi jiska intezaar tha..
woh chehra nahi, naa hi woh dil..
khamosh reh gayi jab pehchana tujhe..
jaane kyun kho diya maine use...

Friday, January 31, 2014

Kho gaya woh shaayar...

Teri kitaab ke panno ki awaaz aati hai mujhe..
woh kalam ki siyahi ki khushboo bhi yaad aati hai..
jab padhti thi tumhare dil ka haal un shabdon mein..
kyun ab likhta nahi hai, mere shaayar?
kabhi fursat se mera khayal aaye to
chhu lena un panno ko bhi ek baar..
woh panno ko jab aanson geela karte the
aur kabhi dekh kar chehra muskuraya bhi..
jisko thaame tumne kitne pal bitaaye..
apni yaadon ko bhi inmein piroya hai..
Fir chaahe us pyar ki mithaas ho
ya us nafrat ki kadhwahat..
kar waqt ka swaad chakha hai tere aksharoon ne..
tanhai ki chaadar mein lapete hue
tute hue dil ke tukde samete hue..
tumhare dil ki jhalak aa jati thi mujhe..
aaj taras jaati hoon tujhe dekhne ke liye..
kam-se-kam teri shayari to dikha de mujhe..
kahan kho gaya hai tu.. aur teri shayari..