Tere mere beech mein
ek lakeer ka hai farak
Dilon mein ek jaisa junoon
aur ragon mein jo khoon
kuch anokha rishta ho jaise..
Teri namaaz aur meri aarti mein
jab ehsaas ek jaisa ho
sirf alfaazon ke kareegar alag hain
par jazbaado ka ehsaas wahi..
tere gharonde se jo
mitti ki khushboo aati hai..
mujhe mere vatan ki yaad dilati hai
rishton mein hai wahi mithaas..
maa ka woh ladlapan..
aur nanhein bachchon ki awaaz..
naap tol ke kehte hum shabdon ko..
bado ki izzat karna har baar..
chaahat bhi hai aur aakrosh bhi
jazbaadon mein wahi zindadili hai..
wasta shiddat-e-jazbat se bhi
aankhon mein dikhti wahi narmi bhi hai..
ek lakeer ka hai farak
Dilon mein ek jaisa junoon
aur ragon mein jo khoon
kuch anokha rishta ho jaise..
Teri namaaz aur meri aarti mein
jab ehsaas ek jaisa ho
sirf alfaazon ke kareegar alag hain
par jazbaado ka ehsaas wahi..
tere gharonde se jo
mitti ki khushboo aati hai..
mujhe mere vatan ki yaad dilati hai
rishton mein hai wahi mithaas..
maa ka woh ladlapan..
aur nanhein bachchon ki awaaz..
naap tol ke kehte hum shabdon ko..
bado ki izzat karna har baar..
chaahat bhi hai aur aakrosh bhi
jazbaadon mein wahi zindadili hai..
wasta shiddat-e-jazbat se bhi
aankhon mein dikhti wahi narmi bhi hai..