Aaj fir baitha hoon main us samunder ke samne,
jiske ek aur zindagi aur doosri aur maut dikhti hai..
us zindagi ke bhi har modh par ek maut si hai..
us maud ke aate hi ek taraf jahan nayi zindagi ki khushi milti hai,
wahin dard rehta hai us pal hui ek maut ka...
main baitha is rait par har pal sochta hoon..
ki yeh kinara kitna kuch de jata hai..
paane ke liye yahan zeher bhi mile..
kho jaati hai jisse zindagi..
wahin mil jaye humein us shankh mein se ek awaaz..
jo de jaaye tumhe zingagi ka ehsaas..
aajeeb manzil ke modh par aaj khada hoon main..
jahan pyar kabhi zindagi se ho to kabhi maut de jaye ek khushi..
kis kadar ki mohabbat ka nasha sa ho gaya hai..
ki aaj zameen bhi nigal jaye to naseeb hai hamara..